vaqt ke hāthoñ hikāyāt-e-anā bhuul ga.e
ham vafā bhuul ga.e aap jafā bhuul ga.e
kis ko samjhā.eñ ye samjhāne kī bāteñ kab haiñ
vasl kab yaad rahā hijr meñ kyā bhuul ga.e
kyā chaman chhoḌā palaT kar nahīñ dekhā us ko
rañg-e-gul bū-e-saman bād-e-sabā bhuul ga.e
bujh ga.ī sham-e-junūñ luT ga.ī bazm-e-yārāñ
ahl-e-dil sozish-e-jāñ hotī hai kyā bhuul ga.e
aisā vīrān huā ka.aba-e-hastī yā-rab
rah ga.e haath uThe harf-e-duā bhuul ga.e
husn sarshārī-e-andāz-o-adā se guzrā
aur sab ahl-e-vafā rasm-e-vafā bhuul ga.e
kam-ayārī ne ḳhudā-soz banāyā aisā
but to sab yaad rahe ek ḳhudā bhuul ga.e
kaun soche bhalā kyuuñ dil nahīñ pāband-e-namāz
jab sar-e-shām azānoñ kī sadā bhuul ga.e
shahr jānāñ meñ nahīñ pūchhne vaalā koī
kaun ho aa.e ho kyuuñ tum yahāñ kyā bhuul ga.e
ḳhūb! 'sarvar' tumheñ ummīd-e-karam yaad rahī
kyā sitam hai ki gunāhoñ kī sazā bhuul ga.e