jis qadar shikve the sab harf-e-duā hone lage
ham kisī kī aarzū meñ kyā se kyā hone lage
bekasī ne be-zabānī ko zabāñ kyā baḳhsh dī
jo na kah sakte the ashkoñ se adā hone lage
ham zamāne kī suḳhan-fahmī kā shikva kyā kareñ
jab zarā sī baat par tum bhī ḳhafā hone lage
rañg-e-mahfil dekh kar duniyā ne nazreñ pher liiñ
āshnā jitne bhī the nā-āshnā hone lage
har qadam par manzileñ kuchh duur yuuñ hotī ga.iiñ
rāz-hā-e-zindagānī ham pe vā hone lage
sar-burīda ḳhasta-sāmāñ dil-shikasta jāñ-ba-lab
āshiqī meñ surḳh-rū nām-e-ḳhudā hone lage
āgahī ne jab dikhā.ī rāh-e-irfān-e-habīb
but the jitne dil meñ sab qibla-numā hone lage
āshiqī kī ḳhair ho 'sarvar' ki ab is shahr meñ
vaqt vo aayā hai bande bhī ḳhudā hone lage