Jagat Mohan Lal Ravan

nikal jae yunhi furqat mein dam kya

Jagat Mohan Lal Ravan

Unnao, Uttar pradesh, India

1889-1934
nikal jaa.e yūñhī furqat meñ dam kyā
na hogā aap kā mujh par karam kyā
hañse bhī ro.e bhī lekin na samjhe
ḳhushī kyā chiiz hai duniyā meñ ġham kyā
mubārak zālimoñ ko zulm ham par
jo apnā hī kiyā hai us kā ġham kyā
miTā jab imtiyāz-e-kufr o īmāñ
makān-e-kāba kyā baitus-sanam kyā
nahīñ jab quvvat-e-ehsās dil meñ
ġham-e-duniyā surūr-e-jām-e-jam kyā
guzar hī jā.eñge ġhurbat ke din bhī
kareñ do din ko ab aḳhlāq kam kyā
mirī bigḌī huī taqdīr bhī hai
tumhāre turra-e-gesū kā ḳham kyā
mirī taqdīr meñ likkhā hai tū ne
batā ai mālik-e-lauh o qalam kyā
bhulā degī hameñ do din meñ duniyā
hamārī shā.irī kyā aur ham kyā
har ik mushkil ko hal kartī hai jab maut
karūñ aage kisī ke sar ko ḳham kyā
'ravāñ' ke dard kā aalam na pūchho
koī yuuñ hogā mast-e-jām-e-jam kyā
Top Urdushayar.com