yūñhī gar har saañs meñ thoḌī kamī ho jā.egī
ḳhatm rafta rafta ik din zindagī ho jā.egī
dekhne vaale faqat tasvīr-e-zāhir par na jā
har nafas ke saath duniyā dūsrī ho jā.egī
gar yahī fasl-e-junūñ-zā hai yahī abr-e-bahār
azmat-e-tauba nisār-e-mai-kashī ho jā.egī
marg-e-be-hañgām kahte haiñ jise aaj ahl-e-dard
kal yahī sūrat badal kar zindagī ho jā.egī
zikr hai zindāñ meñ vo gulzār par bijlī girī
aaj mere āshiyāñ meñ raushnī ho jā.egī
sajda gāh-e-ām par sajde se kuchh hāsil nahīñ
muft ālūda jabīn-e-bandagī ho jā.egī
ḳhatm hai shab chehra-e-mashriq se uThtī hai naqāb
dam-zadan meñ raushnī hī raushnī ho jā.egī
muttasil haiñ zof o quvvat kī hadeñ haañ hoshyār
varna is tark-e-ḳhudī meñ ḳhud-kushī ho jā.egī
zaḳhm bhī taaza hai aur dil bhī nahīñ mānūs-e-dard
rafta rafta yūñhī aadat sabr kī ho jā.egī
sham.a sā jab shaam hī se hai gudāz-e-dil 'ravāñ'
sub.h tak kyā jaane kyā hālat tirī ho jā.egī