Jagat Mohan Lal Ravan

gharaz rahbar se kya mujhko gila hai jazb-e-kaamil se

Jagat Mohan Lal Ravan

Unnao, Uttar pradesh, India

1889-1934
ġharaz rahbar se kyā mujh ko gila hai jazb-e-kāmil se
ki jitnā baḌh rahā huuñ haT rahā huuñ duur manzil se
sukūt-e-be-mahal taqrīr-e-be-mauqa.a kī tohmat kyuuñ
uThānā ho to yuuñ ham ko uThā do apnī mahfil se
ye armān-e-taraqqī aaj hai da.avā ḳhudā.ī kā
usī dil kā jo kal tak thā lahū kī buuñd mushkil se
gul-o-lāla pe āḳhir kar rahā hai ġhaur kyā gulchīñ
ye vo ḳhuuñ hai jo Tapkā thā kabhī chashm-e-anādil se
shab-e-mahtāb dariyā kā kināra aur ye sannāTā
tumheñ is saaz par ham ḳhush kareñge naġhma-e-dil se
ġhazab hai jal ke parvānoñ kā un kī bazm meñ kahnā
'ravāñ' yā yuuñ fidā ho jaao yā uTh jaao mahfil se
Top Urdushayar.com