gul-e-vīrāna huuñ koī nahīñ hai qadr-dāñ merā
tū hī dekh ai mire ḳhallāq husn-e-rā.egāñ merā
ye kah kar ruuh niklī hai tan-e-āshiq se furqat meñ
mujhe ujlat hai baḌh jaa.e na aage kārvāñ merā
havā us ko uḌā le jaa.e ab yā phūñk de bijlī
hifāzat kar nahīñ saktā mirī jab āshiyāñ merā
zamīñ par baar huuñ aur āsmān se duur ai mālik
nahīñ mālūm kuchh āḳhir Thikānā hai kahāñ merā
mujhe naġhme kā lutf aatā hai rātoñ kī ḳhamoshī meñ
dil-e-bashikasta hai ik sāz-e-āhañg fuġhāñ merā
vahīñ se ibtidā-e-kūcha-e-dildār kī had hai
qadam ḳhud chalte chalte aa ke ruk jaa.e jahāñ merā
zarā duur aur hai ai kashti-e-umr-e-ravāñ sāhil
ki is bahr-e-jahāñ meñ har nafas hai bādbāñ merā
huī jaatī hai tanhā.ī meñ lazzat ruuh kī zaa.e.a
luTā jaatā hai vīrāne meñ ganj-e-shā.egāñ merā
anāsir hañste haiñ duniyā kī vus.at muskurātī hai
kisī se pūchhte haiñ ahl-e-bīnash jab nishāñ merā
mire ba.ad aur phir koī nazar mujh sā nahīñ aatā
bahut din tak rakkheñge sog ahl-e-ḳhāndāñ merā
ġhanīmat hai nafas do chaar jo baaqī haiñ ab varna
kabhī kā luT chukā sarmāya-e-sod-o-ziyāñ merā
abhī tak fasl-e-gul meñ ik sadā-e-dard aatī hai
vahāñ kī ḳhaak se pahle jahāñ thā āshiyāñ merā
'ravāñ' sach hai mohabbat kā asar zaa.e.a nahīñ hotā
vo ro dete haiñ ab bhī zikr aatā hai jahāñ merā