Siraj Aurangabadi

maKHmur chashmon ki tabrid karne kun shabnam hai sardab shoron ki manind

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
maḳhmūr chashmoñ kī tabrīd karne kuuñ shabnam hai sardāb shoroñ kī mānind
ruupe ke thāle safedī hai nargis kī zardī hai zar ke kaToroñ kī mānind
dārā.ī-e-surḳh in jāma-zeboñ ne āshiq ke lohū se rañgīñ kiye haiñ
be-ḳhud ho kahtā huuñ kyā ḳhuub lagte haiñ mere kaleje ke qoroñ kī mānind
ai dast-e-mashāta tuuñ jab señ pahūñchā hai us zulf-e-mushkīñ kī shāna-e-kashī kuuñ
āshiq kī aahoñ ke in saaf rishtoñ meñ girhāñ haiñ uñglī kī poroñ kī mānind
ye tañgī unhoñ ke dahan kī na pāvegā apne garebāñ meñ sar ko navā tuuñ
ai ġhuncha bāġhī ho mahtāb-rūoñ siiñ mat ḳhanda-pan kar chakoroñ kī mānind
dil ke ḳhazāne señ shāyad lejāvegā jī ke javāhar kuuñ ayyāriyoñ señ
har dam ḳhayāl us kā āñkhoñ ke rauzan siiñ aatā hai chhup-chhup ki choroñ kī mānind
ġham ke pahāḌoñ kuuñ sar par uThā.e haiñ vahshat ke panjoñ siiñ aahoñ ne merī
dil ke akhāḌe meñ ab kaun ham-sar hai un pahalvānoñ ke zoroñ kī mānind
parvāna rañgoñ ke urs-e-judā.ī meñ sair-e-charāġhāñ hai jān-e-'sirāj' aaj
raushan fatīle haiñ aahoñ ke sho.aloñ ke siine meñ kore sakoroñ kī mānind
Top Urdushayar.com