Jagat Mohan Lal Ravan

anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka

Jagat Mohan Lal Ravan

Unnao, Uttar pradesh, India

1889-1934
anjām ye huā hai dil-e-be-qarār kā
thamtā nahīñ hai paañv hamāre ġhubār kā
pahle kiyā ḳhayāl na gul kā na ḳhaar kā
ab dukh rahā hai paañv nasīm-e-bahār kā
paiham diye vo ranj ki insāñ banā diyā
minnat-pazīr huuñ sitam-e-rozgār kā
us ko ḳhizāñ ke aane kā kyā ranj kyā qalaq
rote kaTā ho jis ko zamāna bahār kā
maḳhfī hai is meñ rāz-e-baqā-e-hayāt-e-ishq
kyā pūchhte ho haal dil-e-be-qarār kā
majbūriyāñ sitam haiñ vagarna ḳhudā kī shaan
maiñ aur yuuñ guzār duuñ mausam bahār kā
ġhāfil nigah-e-hosh se rañg-e-chaman ko dekh
parvurda-e-ḳhizāñ hai zamāna bahār kā
niklā hai dam 'ravāñ' kā tamannā ke saath saath
allāh-re zor nāla-e-be-iḳhteyār kā
Top Urdushayar.com