Jagat Mohan Lal Ravan

jine mein thi na naza ke ranj o mehan mein thi

Jagat Mohan Lal Ravan

Unnao, Uttar pradesh, India

1889-1934
jiine meñ thī na naza.a ke ranj o mehan meñ thī
āshiq kī ek baat jo dīvāna-pan meñ thī
saada varaq thā bāhama gul-hā-e-rañg-rañg
tafsīr jaan paak bayāz-e-kafan meñ thī
baḌhtā thā aur zauq-e-talab bekasī ke saath
kuchh dilkashī ajiib navāh-e-vatan meñ thī
bīmār jab haiñ karte haiñ fariyād chārāgar
kyā dāstān-e-dard sukūt-e-mahan meñ thī
kahtā thā chashm-e-shauq se vo āftāb-e-husn
halkī sī ik shuā thī jo anjuman meñ thī
kuchh iztirāb-e-ishq kā aalam na pūchhiye
bijlī taḌap rahī thī ki jaan is badan meñ thī
kis se kahūñ ki thī vahī gul-hā-e-rañg-rañg
bikhrī huī jo ḳhaak savād-e-chaman meñ thī
Top Urdushayar.com