Jagat Mohan Lal Ravan

taqdir jab muawin-e-tadbir ho gai

Jagat Mohan Lal Ravan

Unnao, Uttar pradesh, India

1889-1934
taqdīr jab muāvin-e-tadbīr ho ga.ī
miTTī pe kī nigāh to iksīr ho ga.ī
dil jaañ nisār-e-mai hai zabāñ tā.ib-e-sharāb
is kashmakash meñ ruuh kī tāzīr ho ga.ī
chhīñTeñ jo ḳhuuñ kī dāman-e-qātil meñ rah ga.iiñ
mahshar meñ mere qalb kī tafsīr ho ga.ī
yā qatl kījiye mujhe yā baḳhsh dījiye
ab ho ga.ī huzūr jo taqsīr ho ga.ī
shabnam oḌhī guloñ se mirā naqsha khiñch gayā
murjhā ga.ī kalī mirī tasvīr ho ga.ī
zindāniyān-e-kākul-e-hastī kidhar ko jaa.eñ
ik zulf sab ke paañv kī zanjīr ho ga.ī
maiñ kah chalā thā dāvar-e-mahshar se hāl-e-dil
ik surmagīñ nigāh gulū-gīr ho ga.ī
bas tham gayā safīr-e-amal kah ke yā nasīb
jis jā pe ḳhatm manzil-e-tadbīr ho ga.ī
toḌā hai dam abhī abhī bīmār-e-hijr ne
aa.e magar huzūr ko tāḳhīr ho ga.ī
jab apne aap par hameñ qaabū milā 'ravāñ'
āsān rāz-e-dahr kī tafsīr ho ga.ī
Top Urdushayar.com