Siraj Aurangabadi

hamara dilbar-e-gulfam aaya

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
hamārā dilbar-e-gulfām aayā
qrār-e-jān-e-be-ārām aayā
kamand-e-pech-o-tāb-e-zulf kuuñ khol
shikār-e-dil kuuñ le kar daam aayā
shitābī hosh kuuñ sar siiñ badar kar
junūñ kā mujh taraf paiġhām aayā
kare tā-bulbul-e-dil kuuñ ġhazal-ḳhvāñ
bahār-e-ishq kā hañgām aayā
ai zāhid bhaag is zulf-e-siyah siiñ
ye kāfir dushman-e-islām aayā
birah ke mahke siiñ qatl-e-dil par
piyāda ġham kā le e.alām aayā
huī josh-e-mohabbat siiñ zabāñ band
sanam kā darmiyāñ jab naam aayā
balā hai tujh nigah kī saif kā vaar
dil-e-betāb āḳhir kaam aayā
'sirāj' aane meñ us jādū-nazar ke
shakeb o tāqat o ārām aayā
Top Urdushayar.com