Abbas Tabish

subh ki pahli kiran pahli nazar se pahle

Abbas Tabish

1961
sub.h kī pahlī kiran pahlī nazar se pahle
ham ko honā hai kahīñ aur sahar se pahle
chāñd ne dekh liyā ham ko kanār-e-dariyā
bhaag chalte haiñ kisī aur ḳhabar se pahle
lau lagāne se ga.ī dar-badarī kī zillat
ḳhud ko pahuñchā huā lagtā huuñ safar se pahle
kyuuñ na duniyā ko dikhā.ūñ maiñ jale haath kā zaḳhm
kuchh charāġhoñ se ta.alluq thā udhar se pahle
ik hathelī hai mirī ek hathelī us kī
sab duā.eñ haiñ asar-yāb asar se pahle
shaam ke ba.ad añdherā nahīñ rahtā ghar meñ
ek sūraj nikal aatā hai sahar se pahle
tab mirī aañkh khulā kartī thī andar kī taraf
maiñ ne dekhā hai use pahlī nazar se pahle
tū faqat sīna-o-dil hai na faqat āriz-o-lab
suḳhan āġhāz kare koī kidhar se pahle
Top Urdushayar.com