vo kaun hai jo pas-e-chashm-e-tar nahīñ aatā
samajh to aatā hai lekin nazar nahīñ aatā
agar ye tum ho to sābit karo ki ye tum ho
gayā huā to koī lauT kar nahīñ aatā
ye dil bhī kaisā shajar hai ki jis kī shāḳhoñ par
parinde aate haiñ lekin samar nahīñ aatā
ye jam.a ḳharch zabānī hai us ke baare meñ
koī bhī shaḳhs use dekh kar nahīñ aatā
hamārī ḳhaak pe andhī havā kā pahra hai
use ḳhabar hai yahāñ kūza-gar nahīñ aatā
ye baat sach hai ki is ko bhulā diyā maiñ ne
magar yaqīñ mujhe is baat par nahīñ aatā
nazar jamā.e rakhūñgā maiñ chāñd par 'tābish'
ki jab talak ye parinda utar nahīñ aatā