ajab saudā-e-vahshat hai dil-e-ḳhud-sar meñ rahtā hai
ye kaisī chhab kā mālik hai ye kaise ghar meñ rahtā hai
usī ke dam-qadam se hai jahān-e-dīda-o-nazzārā
kahīñ āñkhoñ meñ bastā hai kahīñ manzar meñ rahtā hai
nihāl-e-ḳhushk meñ ab tak vo sūkhā zard sā pattā
barahna lagtā hai lekin libās-e-zar meñ rahtā hai
mirī āñkhoñ se le kar tere chehre tak sitāre haiñ
ki jo gardish meñ aa jaa.e usī mehvar meñ rahtā hai
maiñ apne aks ko ram-ḳhurdagī se baaz kyā rakkhūñ
ġhazāl-e-ā.ina-ḳhāna kisī ke Dar meñ rahtā hai
mujhe to gor-e-girya meñ sulā dete haiñ ghar vaale
magar ehsās-e-bedārī mire bistar meñ rahtā hai