mujh tahī-jāñ se tujhe inkār pahle to na thā
terā aur mere liye dīvār pahle to na thā
husn ne sauñpī hai ye kaisī nigūñ-sārī mujhe
maiñ kisī kā ā.ina-bardār pahle to na thā
is tarah to pā-ba-jaulāñ ham na phirte the kabhī
in galī-kūchoñ meñ ye bāzār pahle to na thā
ab kahāñ se aa.ī us kāfir ke dil meñ raushnī
aa.ina halqa-ba-gosh-e-yār pahle to na thā
'tābish' ik daryūza-gar ko baaz rakhne ke liye
koī darvāza pas-e-dīvār pahle to na thā