Siraj Aurangabadi

jis kun mulk-e-be-KHudi ka raj hai

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
jis kuuñ mulk-e-be-ḳhudī kā raaj hai
hai zamīñ taḳht aur bagūlā taaj hai
ḳhvāb meñ vo zulf-e-mushkīñ dekhnāñ
haq meñ mere lailt-ul-merāj hai
dekh kar lashkar ġhanīm-e-ishq kā
kishvar-e-aql-o-ḳhirad tārāj hai
ai tabīb-e-mehrbāñ bīmār-e-hijr
sharbat-e-dīdār kā muhtāj hai
yaar kī āñkhoñ meñ hai jaisī hayā
chashm-e-nargis meñ kahāñ ye laaj hai
us kamāñ-abrū ke tīr-e-nāz kā
sīna-chākoñ kā jigar āmāj hai
dil mirā tujh ġham siiñ ai jān-e-'sirāj'
beshtar be-tāb kal siiñ aaj hai
Top Urdushayar.com