Abbas Tabish

ye kis ke KHauf ka galiyon mein zahr phail gaya

Abbas Tabish

1961
ye kis ke ḳhauf kā galiyoñ meñ zahr phail gayā
ki ek na.ash ke mānind shahr phail gayā
nahīñ giraft meñ tā-hadd-e-ḳhāk kā manzar
simaT ga.iiñ mirī bāñheñ ki dahr phail gayā
tujhe qarīb samajhte the ghar meñ baiThe hue
tirī talāsh meñ nikle to shahr phail gayā
maiñ jis taraf bhī chalā jā.ūñ jaan se jā.ūñ
bichhaḌ ke tujh se to lagtā hai dahr phail gayā
makāñ makān se niklā ki jaise baat se baat
misāl-e-qissa-e-hijrāñ ye shahr phail gayā
bachā na koī tirī dhuup kī tamāzat se
tirā jamāl ba-andāz-e-qahr phail gayā
ye mauj mauj banī kis kī shakl sī 'tābish'
ye kaun Duub ke bhī lahr lahr phail gayā
Top Urdushayar.com