chashm-e-nam-dīda sahī ḳhitta-e-shādāb mirā
raat kī raat mahaktā hai gul-e-ḳhvāb mirā
ab tahī-raḳht bhī ho kar maiñ tahī-raḳht nahīñ
ḳhvāhish-e-bādiya-paimā.ī hai asbāb mirā
sabt kar aur koī mohr mire hoñToñ par
qufl-e-abjad se nahīñ band huā baab mirā
sāhil-e-chashm pe kapḌoñ ko sukhāne vaale
tū ne kab paar kiyā thā dil-e-pāyāb mirā
naam merā to kiyā us ne qalam-zad lekin
daftar-e-ishq se ḳhārij na huā baab mirā
jis qadar aa.ī farāḳhī mire dil meñ 'tābish'
utnā hī tañg huā halqa-e-ahbāb mirā