ab adhūre ishq kī takmīl hī mumkin nahīñ
kyā kareñ paiġhām kī tarsīl hī mumkin nahīñ
kyā use samjhā.ūñ kāġhaz par lakīreñ khīñch kar
jazba-e-benām kī tashkīl hī mumkin nahīñ
aise mausam meñ bhī sharh-e-dil kiye jaatā huuñ maiñ
jab ki is ijmāl kī tafsīl hī mumkin nahīñ
kis jagah uñglī rakhūñ kis harf ko kaise paḌhūñ
āyat-e-imkāñ tirī tartīl hī mumkin nahīñ
tohmat-e-rusvā.ī kaise ishq par rakhtā koī
aise kāmoñ meñ to aisī Dhiil hī mumkin nahīñ
kunj-e-nisyāñ meñ paḌe dhuñdlā ga.e us ke nuqūsh
ab to us ḳhush-rañg kī tamsīl hī mumkin nahīñ
aur bhī kuchh sūrateñ ban jā.eñgī rusvā.ī kī
ishq meñ 'tābish' faqat tazlīl hī mumkin nahīñ