Abbas Tabish

aise to koi tark sukunat nahin karta

Abbas Tabish

1961
aise to koī tark sukūnat nahīñ kartā
hijrat vahī kartā hai jo bai.at nahīñ kartā
ye log mujhe kis liye dozaḳh se Darā.eñ
maiñ āshiqī kartā huuñ ibādat nahīñ kartā
ham silsila-dāroñ ke ho kyuuñ jaan ke darpai
kāfir use kahiye jo mohabbat nahīñ kartā
lagtā hai yahāñ maut nahīñ aanī kisī ko
is shahr meñ ab koī vasiyyat nahīñ kartā
ye mujh ko batāte haiñ ġhazālān-e-tarah-dār
achchhā vahī rahtā hai jo vahshat nahīñ kartā
'tābish' kā qayāmat se yaqīñ uTh na gayā ho
kuchh din se vo zikr-e-qad-o-qāmat nahīñ kartā
Top Urdushayar.com