Abbas Tabish

bahut be-kar mausam hai magar kuchh kaam karna hai

Abbas Tabish

1961
bahut be-kār mausam hai magar kuchh kaam karnā hai
ki taaza zaḳhm milne tak purānā zaḳhm bharnā hai
abhī saada varaq par naam terā likh ke baiThā huuñ
abhī is meñ mahak aanī hai titlī ne utarnā hai
baḌhe jo habs to shāḳheñ hilā denā ki ab ham ko
havā ke saath jiinā hai havā ke saath marnā hai
mabādā us ko diqqat ho nishāne tak pahuñchne meñ
so maiñ ne phuul se dīvār ke raḳhne ko bharnā hai
yahī ik shaġhl rakhnā hai aziyyat ke dinoñ meñ bhī
kisī ko bhuul jaanā hai kisī ko yaad karnā hai
koī chehra na ban paayā muqaddar kī lakīroñ se
so ab apnī hathelī meñ mujhe ḳhud rañg bharnā hai
koī rasta mile kyūñkar mire pā-e-ḳhajālat ko
yahāñ to paañv dharnā bhī koī ilzām dharnā hai
vo har lamha duā dete haiñ lambī umr kī 'tābish'
mujhe lagtā hai pyāroñ ko bhī ruḳhsat maiñ ne karnā hai
Top Urdushayar.com