Abbas Tabish

wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai

Abbas Tabish

1961
vo aane vaalā nahīñ phir bhī aanā chāhtā hai
magar vo koī munāsib bahānā chāhtā hai
ye zindagī hai ye to hai ye rozgār ke dukh
abhī batā de kahāñ āzmānā chāhtā hai
ki jaise us se mulāqāt phir nahīñ hogī
vo saarī bāteñ ikaTThī batānā chāhtā hai
maiñ sun rahā huuñ añdhere meñ āhaTeñ kaisī
ye kaun aayā hai aur kaun jaanā chāhtā hai
use ḳhabar hai ki majnūñ ko raas hai jañgal
vo mere ghar meñ bhī paude lagānā chāhtā hai
vo ḳhud-ġharaz hai mohabbat ke baab meñ 'tābish'
ki ek pal ke evaz ik zamāna chāhtā hai
Top Urdushayar.com