Abbas Tabish

ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha

Abbas Tabish

1961
ek qadam teġh pe aur ek sharar par rakkhā
merī vahshat ne mujhe raqs-e-digar par rakkhā
mere mālik ne tujhe ā.ina-dārī de kar
nigarāñ tujh ko mire husn-e-nazar par rakkhā
lā-ta.alluq nazar aatā thā ba-zāhir lekin
shahr ko us ne mirī ḳhair-ḳhabar par rakkhā
zindagī tū ne qadam moḌ diye aur taraf
aur andar se mujhe aur safar par rakkhā
ahl-e-vahshat ko magar kaun batātā jā kar
ho gayā nāf-e-ġhazālīñ koī ghar par rakkhā
koñpleñ phuuT paḌīñ dast-e-duā se mere
dam-e-āmīn jo meñ dīda-e-tar par rakkhā
ḳhatm hotī hī nahīñ girya-o-zārī un kī
miir ne haath to har lafz ke sar par rakkhā
maiñ ne is Dar se use toḌ liyā hai 'tābish'
suukh jaa.e na kahīñ shāḳh-e-shajar par rakkhā
Top Urdushayar.com