Siraj Aurangabadi

ya-rab kahan gaya hai wo sarw-e-shoKH-rana

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
yā-rab kahāñ gayā hai vo sarv-e-shoḳh-ra.anā
hai chob-e-ḳhushk jis bin merī nazar meñ tuubā
dīdār de shitābī jalne kī taab niiñ hai
is hijr kī agan siiñ dozaḳh kī aag aulā
tauq-e-gulū-e-dil hai zulf-e-sanam kā har ḳham
mash.hūr ye masal hai yak sar hazār saudā
hai ḳhatm yār-e-jānī tere dahan kī tañgī
kahne kī baat niiñ hai bārīk hai muammā
ai gul-badan nazar kar dāġh-e-jigar kuuñ mere
gar aarzū hai tujh kuuñ gulzār kā tamāshā
maskan huā hai merā jab siiñ tirī galī meñ
ai gul-ezār tab siiñ jannat kī niiñ tamannā
hai ai 'sirāj' har shab mahtāb-rū ke ġham meñ
aañsū kā mere jhamkā jyuuñ ḳhosha-e-surayyā
Top Urdushayar.com