Abbas Tabish

parinde puchhte hain tumne kya qusur kiya

Abbas Tabish

1961
parinde pūchhte haiñ tum ne kyā qusūr kiyā
vo kyā kaheñ jinheñ hijrat ne ghar se duur kiyā
yahī bahut hai ki us ahd-e-be-payambar meñ
kahīñ charāġh kahīñ ḳhvāb ne zuhūr kiyā
ye merā ḳhaak meñ milnā basā ġhanīmat hai
ki maiñ ne ijz kī ḳhātir bahut ġhurūr kiyā
falak se pheñk ke dekhā ki TūTne kā nahīñ
girā ke apnī nigāhoñ se chuur chuur kiyā
ġhubār-e-dar-ba-darī jis ne kar diyā mujh ko
musāfiroñ ko usī dhuup ne khajūr kiyā
Top Urdushayar.com