Abbas Tabish

hawa-e-tez tera ek kaam aaKHiri hai

Abbas Tabish

1961
havā-e-tez tirā ek kaam āḳhirī hai
ki naḳhl-e-ḳhushk pe māh-e-tamām āḳhirī hai
maiñ jis sukūn se baiThā huuñ is kināre par
sukūñ se lagtā hai merā qayām āḳhirī hai
phir is ke ba.ad ye bāzār-e-dil nahīñ lagnā
ḳharīd lījiye sāhib ġhulām āḳhirī hai
guzar chalā huuñ kisī ko yaqīñ dilātā huā
ki lauh-e-dil pe raqam hai jo naam āḳhirī hai
tabhī to peḌ kī āñkhoñ meñ chāñd bhar aayā
kisī ne kah diyā hogā ki shaam āḳhirī hai
ye lag rahā hai mohabbat ke pahle ziine par
ki jis maqām pe huuñ ye maqām āḳhirī hai
kisī ne phir se khaḌe kar diye dar-o-dīvār
ḳhayāl thā ki mirā inhidām āḳhirī hai
hamāre jaise vahāñ kis shumār meñ hoñge
ki jis qatār meñ majnūñ kā naam āḳhirī hai
shurū-e-ishq meñ aisī udāsiyāñ 'tābish'
har ek shaam ye lagtā hai shaam āḳhirī hai
Top Urdushayar.com