ek mushkil sī bahar-taur banī hotī hai
tujh se baaz aa.eñ to phir ḳhud se Thanī hotī hai
kuchh to le baiThtī hai apnī shikasta-pā.ī
aur kuchh raah meñ chhāñv bhī ghanī hotī hai
mere siine se zarā kaan lagā kar dekho
saañs chaltī hai ki zanjīr-zanī hotī hai
ābla-pā.ī bhī hotī hai muqaddar apnā
sar pe aflāk kī chādar bhī tanī hotī hai
duudh kī nahr nikālī hai ġhamoñ se ham ne
ham batā sakte haiñ kyā koh-kanī hotī hai
aañkh to khultī hai kirnoñ kī talab meñ lekin
zeb-e-mizhgāñ kisī neze kī anī hotī hai
dasht-e-ġhurbat hī pe mauqūf nahīñ hai 'tābish'
ab to ghar meñ bhī ġharīb-ul-vatanī hotī hai