terī āñkhoñ se apnī taraf dekhnā bhī akārat gayā
ya.anī pahchān kā ye nayā silsila bhī akārat gayā
yuuñ hinā.ī lakīreñ uḌiiñ ajnabī tā.eroñ kī tarah
par-burīda sā rañg-e-kaf-e-sad-hinā bhī akārat gayā
ab khulā hai ki merā tire rañg meñ tere andāz meñ
bolnā hī nahīñ dekhnā sochnā bhī akārat gayā
sun rahā huuñ abhī tak maiñ apnī hī āvāz kī bāzgasht
ya.anī is dasht meñ zor se bolnā bhī akārat gayā
vo zuleḳhā.ī ḳhvāhish hī apne sabab se pashemāñ na thī
sātveñ dar ke andar mirā hausla bhī akārat gayā
koī lau tak na dī kaale peḌoñ ko is ātishīñ raqs ne
ya.anī jañgal meñ us mor kā nāchnā bhī akārat gayā