shāyad kisī balā kā thā saaya daraḳht par
chiḌiyoñ ne raat shor machāyā daraḳht par
mausam tumhāre saath kā jaane kidhar gayā
tum aa.e aur bor na aayā daraḳht par
dekhā na jaa.e dhuup meñ jaltā huā koī
merā jo bas chale karūñ saaya daraḳht par
sab chhoḌe jā rahe the safar kī nishāniyāñ
maiñ ne bhī ek naqsh banāyā daraḳht par
ab ke bahār aa.ī hai shāyad ġhalat jagah
jo zaḳhm dil pe aanā thā aayā daraḳht par
ham donoñ apne apne gharoñ meñ muqīm haiñ
paḌtā nahīñ daraḳht kā saaya daraḳht par