naqsh saare ḳhaak ke haiñ sab hunar miTTī kā hai
is dayār-e-rañg-o-bū meñ bast-o-dar miTTī kā hai
kuchh to apnī gardaneñ kaj haiñ havā ke zor se
aur kuchh apnī tabī.at meñ asar miTTī kā hai
chāñdnī ḳhandāñ hai apne hujra-e-mahtāb par
aur maiñ nāzāñ huuñ is par merā ghar miTTī kā hai
rahmateñ barsā ke bhī abr-e-karam chhaTtā nahīñ
aise lagtā hai ki saaya charḳh par miTTī kā hai
ḳhaak se uThte nahīñ chaltī havā ke saath ham
ijz-e-ḳhātir par bahut gahrā asar miTTī kā hai
ik namūna hai kisī kī san.at-e-timsāl kā
ye jo khiḌkī hai sadā kī ye jo ghar miTTī kā hai
kyuuñ na ḳhū-e-ḳhāk se ḳhasta rahe merī anā
pā-ba-gil huuñ aur ḳhamīr-e-motabar miTTī kā hai