amal señ mai-parastoñ ke tujhe kyā kaam ai vaa.iz
sharāb-e-shauq kā tū ne piyā niiñ jaam ai vaa.iz
lagegā sañg-e-ḳhajlat shīsha-e-nāmūs par tere
abas ham be-gunāhoñ kuuñ na kar bad-nām ai vaa.iz
nahīñ hai imtiyāz-e-nek-o-bad chashm-e-haqīqat meñ
mujhe yaksāñ huā hai kufr aur islām ai vaa.iz
niyāz-e-be-ḳhudī behtar namāz-e-ḳhud-numā.ī señ
na kar ham puḳhta-maġhzoñ señ ḳhayāl-e-ḳhām ai vaa.iz
kalām-e-nuqta-e-ilm muḳhtasar hai sab ma.ānī kā
bayān-e-mantiq-e-darsī kuuñ niiñ anjām ai vaa.iz
vo shīrīñ-lab kī kaḌve bol amrit haiñ mire haq meñ
tujhe ma.alūm kyā hai lazzat-e-dushnām ai vaa.iz
'sirāj' us kāba-e-jāñ ke tasavvur kuuñ kiyā sumran
yahī vird-e-sahar hai aur duā-e-shām ai vaa.iz