mah-ruḳh jo gharoñ se kabhī bāhar nikal aa.e
pas-manzar-e-shab se ka.ī manzar nikal aa.e
tum apnī zabānoñ se use chāTte rahnā
kyā jāniye dīvār meñ kab dar nikal aa.e
kyā un ko Dubo.e kisī dariyā kī ravānī
ye shahr to kuuze ke samundar nikal aa.e
din bhar to rahe mahr-e-jahāñ-tāb kī sūrat
jab raat paḌī bhes badal kar nikal aa.e
aa.e haiñ agarche ka.ī chehroñ se ulajh kar
lagtā hai ki ham aañkh bachā kar nikal aa.e
āvāz to do partav-e-mahtāb ko 'tābish'
mumkin hai vo tālāb se bāhar nikal aa.e