Abbas Tabish

bachpan ka daur ahd-e-jawani mein kho gaya

Abbas Tabish

1961
bachpan kā daur ahd-e-javānī meñ kho gayā
ye amr-e-vāqi.a bhī kahānī meñ kho gayā
lahroñ meñ koī naqsha kahāñ pā.edār hai
sūraj ke ba.ad chāñd bhī paanī meñ kho gayā
āñkhoñ tak aa sakī na kabhī āñsuoñ kī lahr
ye qāfila bhī naql-e-makānī meñ kho gayā
ab bastiyāñ haiñ kis ke ta.āqub meñ rāt-din
dariyā to aap apnī ravānī meñ kho gayā
'tābish' kā kyā kaheñ ki vo zohra-gudāz shaḳhs
ātish-fishāñ kā phuul thā paanī meñ kho gayā
Top Urdushayar.com