nigāh-e-avvalīñ kā hai taqāzā dekhte rahnā
ki jis ko dekhnā us ko hamesha dekhte rahnā
na mujh ko niiñd aatī hai na dil se baat jaatī hai
ye kis ne kah diyā mujh se ki rasta dekhte rahnā
abhī achchhe nahīñ lagte junūñ ke pech-o-ḳham us ko
kabhī is rah se guzregī ye duniyā dekhte rahnā
diye kī lau na ban jaa.e tanāb-e-sarsarī us kī
maiñ dariyā kī taraf jaatā huuñ ḳhema dekhte rahnā
koī chehra hī mumkin hai tumhāre jī ko lag jaa.e
tamāshā dekhne vaalo tamāshā dekhte rahnā
ki ab to dekhne meñ bhī haiñ kuchh mahvīyateñ aisī
kahīñ patthar na kar Daale ye merā dekhte rahnā
sarishk-e-ḳhūñ kabhī mizhgāñ talak aayā nahīñ phir bhī
kināre aa lage shāyad ye dariyā dekhte rahnā
nigāh-e-sarsarī 'tābish' muhīt-e-husn kyā hogī
jahāñ tak dekhne kā ho taqāzā dekhte rahnā