Abbas Tabish

chand ka patthar bandh ke tan se utri manzar-e-KHwab mein chup

Abbas Tabish

1961
chāñd kā patthar bāñdh ke tan se utrī manzar-e-ḳhvāb meñ chup
chiḌiyāñ duur sidhār ga.iiñ aur Duub ga.ī tālāb meñ chup
lafzoñ ke baTvāre meñ is chīḳh-bhare gahvāre meñ
bol to ham bhī sakte haiñ par shāmil hai ādāb meñ chup
pahle to chaupāl meñ apnā jism chaTaḳhtā rahtā thā
chal niklī jab baat safar kī phail ga.ī a.asāb meñ chup
ab to ham yuuñ rahte haiñ is hijr-bhare vīrāne meñ
jaise aañkh meñ aañsū gum ho jaise harf kitāb meñ chup
apnī aahaT ko bhī apne saath nahīñ le jaate vo
terī raah pe chalne vaale rakhte haiñ asbāb meñ chup
Top Urdushayar.com