rāteñ guzārne ko tirī rahguzar ke saath
ghar se nikal paḌā huuñ maiñ dīvār-o-dar ke saath
dastak ne aisā hashr uThāyā ki der tak
larzāñ rahā hai jism bhī zanjīr dar ke saath
kashkol thāmte haiñ kaf-e-e.atibār se
karte haiñ ham gadāgarī lekin hunar ke saath
ab kis tarah ye Tokarī sar pe uThā.ūñ maiñ
sūraj paḌā huā hai mire bām-o-dar ke saath
sūraj usī tarah hai ye mahtāb usī tarah
Dhalte rahe haiñ yaar hī shām-o-sahar ke saath
yuuñ hai mirī uḌaan pe bhārī mirā vajūd
jaise zamīñ bañdhī ho mire bāl-o-par ke saath
'tābish' mujhe safar kī rivāyat kā paas thā
so maiñ bhī rah banā ke chalā rahguzar ke saath