Abbas Tabish

jahan-e-marg-e-sada mein ek aur silsila KHatm ho gaya hai

Abbas Tabish

1961
jahān-e-marg-e-sadā meñ ik aur silsila ḳhatm ho gayā hai
kalām ya.anī ḳhudā kā ham se mukālima ḳhatm ho gayā hai
hameñ to bas ye pata chalā thā ki ūñToñ vaale chale ga.e haiñ
kisī ko is kī ḳhabar nahīñ jo mo.āmla ḳhatm ho gayā hai
na titliyoñ jaisī dopahar hai na ab vo sūraj gulāb jaisā
jise mohabbat kahā gayā vo muġhālta ḳhatm ho gayā hai
tumhārī bātoñ ke jin pe shahtūt jhaḌ rahe hoñ vahī batā.eñ
ki talḳh-ābād meñ hamārā to zā.iqa ḳhatm ho gayā hai
hamārī āñkhoñ se ḳhvāb o ḳhas ke tamām pushte haTā.e jaa.eñ
hamārā nārāz pāniyoñ se muāhida ḳhatm ho gayā hai
ab is liye bhī hameñ mohabbat ko tuul denā paḌegā 'tābish'
kisī ne pūchhā to kyā kaheñge ki silsila ḳhatm ho gayā hai
Top Urdushayar.com