koī miltā nahīñ ye bojh uThāne ke liye
shaam bechain hai sūraj ko girāne ke liye
apne ham-zād daraḳhtoñ meñ khaḌā sochtā huuñ
maiñ to aayā thā inheñ aag lagāne ke liye
maiñ ne to jism kī dīvār hī Dhaa.ī hai faqat
qabr tak khodte haiñ log ḳhazāne ke liye
do palak biich kabhī raah na paa.ī varna
maiñ ne koshish to bahut kī nazar aane ke liye
lafz to lafz yahāñ dhuup nikal aatī hai
terī āvāz kī bārish meñ nahāne ke liye
kis tarah tark-e-ta.alluq kā maiñ sochūñ 'tābish'
haath ko kāTnā paḌtā hai chhuḌāne ke liye