Abbas Tabish

yun to shiraaza-e-jaan kar ke baham uThte hain

Abbas Tabish

1961
yuuñ to shīrāza-e-jāñ kar ke baham uThte haiñ
baiThne lagtā hai dil jūñhī qadam uThte haiñ
ham to is razm-gah-e-vaqt meñ rahte haiñ jahāñ
haath kaT jaa.eñ to dāñtoñ se alam uThte haiñ
sahl añgār-tabī.at kā burā ho jis se
naaz uThte haiñ tire aur na sitam uThte haiñ
koī rauñde to uThāte haiñ nigāheñ apnī
varna miTTī kī tarah raah se kam uThte haiñ
niiñd jaatī hī nahīñ arz-e-hunar se aage
daftar-e-ġham hī sadā kar ke raqam uThte haiñ
din kī āġhosh-e-razā.at se nikal kar 'tābish'
raat kī raat kaf-e-ḳhāk se ham uThte haiñ
Top Urdushayar.com