jhilmil se kyā rabt nikāleñ kashtī kī taqdīroñ kā
taare kashf nahīñ kar sakte be-āvāz jazīroñ kā
har nākāmī ne aise bhī kuchh dīvāreñ khīñchī haiñ
ik be-naqsha shahr banā hai lā-hāsil tadbīroñ kā
ik muddat se qarya-e-jāñ meñ jhaḌte haiñ jhankār ke phuul
jaise mere jism ke andar mausam ho zanjīroñ kā
duur se jhunD parindoñ kā lagte haiñ ḳheme vāloñ ko
kis andāz kā aanā hai ye aag chhiḌakte tīroñ kā
raat ga.e jab taare bhī kuchh be-ma.anī se lagte haiñ
ek dabistāñ khultā hai un āñkhoñ kī tafsīroñ kā
ek hathelī par us ne mahkā.e hinā kī sundar phuul
ek hathelī kī qismat meñ likkhā dasht lakīroñ kā