Abbas Tabish

badan ke chaak par zarf-e-numu tayyar karta hun

Abbas Tabish

1961
badan ke chaak par zarf-e-numū tayyār kartā huuñ
maiñ kūza-gar huuñ aur miTTī kā kārobār kartā huuñ
mirī ḳhandaq meñ us ke qurb kī qindīl raushan hai
mire dushman se kah denā maiñ us se pyaar kartā huuñ
kahīñ to reg-e-ḳhufta kī tarah paanī meñ paḌ rahtā
varaq-gardānī-e-sahrā maiñ kyuuñ be-kār kartā huuñ
uThā.e phir rahā huuñ hasrat-e-tāmīr kī īñTeñ
jahāñ saaya nahīñ hotā vahīñ dīvār kartā huuñ
jahāñ bhī shām-e-tan jaa.e muhāfiz saañp kī sūrat
maiñ apnī rezgārī kī vahīñ ambār kartā huuñ
usī ko sāmne pā kar usī ko bhīñch kar 'tābish'
sukūt-e-nā-shanāsī ko suḳhan-āsār kartā huuñ
Top Urdushayar.com