sher likhne kā fā.eda kyā hai
us se kahne ko ab rahā kyā hai
pahle se tai-shuda mohabbat meñ
tū batā terā mashvara kyā hai
surḳh kyuuñ ho rahe haiñ tere kaan
maiñ ne tujh se abhī kahā kyā hai
āñkheñ mal mal ke dekhtā huuñ use
dopahar meñ ye chāñd sā kyā hai
merā ham-asr sub.h kā taarā
mere baare meñ jāntā kyā hai
sochte hoñT boltī āñkheñ
hairatī kā mukālima kyā hai
shor sā uTh rahā hai chār-taraf
kuchh girā hai magar girā kyā hai
maiñ yahāñ se palaTnā chāhtā huuñ
ai ḳhudā terā mashvara kyā hai
jism ke us taraf hai gul ābād
phāñd dīvār dekhtā kyā hai
merī ḳhud se mufāhamat na huī
tū batā terā mas.ala kyā hai
is liye bolne pe huuñ majbūr
aap socheñge sochtā kyā hai
ye bahut der meñ huā ma.alūm
ishq kyā hai muġhālta kyā hai
maiñ to aadī huuñ ḳhaak chhānne kā
tum batāo ki DhūñDhnā kyā hai
ishq kar ke bhī khul nahīñ paayā
terā merā mo.āmla kyā hai
maiñ banā thā khanaktī miTTī se
mere andar sukūt sā kyā hai