kal siiñ be-kal hai mirā jī yaar kuuñ dekhā na thā
kyuuñ na hove betāb dil dildār kuuñ dekhā na thā
hai bajā gar hove ġhazal-ḳhvāñ misl-e-bulbul dil mirā
nau-bahār-e-gulshan-e-dīdār kuuñ dekhā na thā
kyūñki hove zāhid-e-ḳhud-bīñ murīd-e-zulf-e-yār
us ne saarī umr meñ zunnār kuuñ dekhā na thā
ab mushabbak ho gayā us tīr-e-mizhgāñ ke tufail
jis dil-e-nāzuk ne nok-e-ḳhār kuuñ dekhā na thā
abrū-e-pur-chīñ kuuñ tere dekh dil hairāñ huā
kyā magar shamshīr-e-jauhar-dār kuuñ dekhā na thā
sīna-e-guldār merā us kuuñ aayā hai pasand
yaar ne shāyad kabhī gulzār kuuñ dekhā na thā
dekh ashk-e-garm kuuñ mere kahā us ne 'sirāj'
maiñ kabhī is abr-e-ātish-bār kuuñ dekhā na thā