Abbas Tabish

ramz-gar bhi gaya ramz-dan bhi gaya

Abbas Tabish

1961
ramz-gar bhī gayā ramz-dāñ bhī gayā
husn ke saath husn-e-bayāñ bhī gayā
sar se tāroñ bharī sar-zamīñ bhī ga.ī
paañv se ḳhaak kā āsmāñ bhī gayā
phuul hī phuul the kunj-e-āzār meñ
tum vahāñ bhī na the maiñ vahāñ bhī gayā
pahle miTTī uḌī manziloñ kī taraf
phir use DhūñDne kārvāñ bhī gayā
maiñ akelā na thā kū-rusvā.ī meñ
saath vīrāna-e-jism-o-jāñ bhī gayā
rañg pastī ke phir bhī na ifshā hue
yuuñ to pātāl tak āsmāñ bhī gayā
ishq meñ bām-o-dar bhī na pīchhe rahe
saath apne makīñ ke makāñ bhī gayā
'tābish' apne basere kī jānib chalo
is se kyā tum ko sūraj jahāñ bhī gayā
Top Urdushayar.com