Abbas Tabish

kas kar bandhi gai ragon mein dil ki girah to Dhili hai

Abbas Tabish

1961
kas kar bāñdhī ga.ī ragoñ meñ dil kī girah to Dhīlī hai
us ko dekh ke jī bhar aanā kitnī baḌī tabdīlī hai
zinda rahne kī ḳhvāhish meñ dam dam lau de uThtā huuñ
mujh meñ saañs ragaḌ khātī hai yā māchis kī tiilī hai
un āñkhoñ meñ kūdne vaalo tum ko itnā dhyān rahe
vo jhīleñ pāyāb haiñ lekin un kī tah pathrīlī hai
kitnī sadiyāñ sūraj chamkā kitne dozaḳh aag jalī
mujhe banāne vaale merī miTTī ab tak giilī hai
zinda huuñ to mujhe batā.eñ niile hoñToñ vaale log
merā kaisā rañg karegī baat jo maiñ ne pī lī hai
mumkin hai ab vaqt kī chādar par maiñ karūñ rafū kā kaam
juute maiñ ne gāñTh liye haiñ gudḌī maiñ ne sī lī hai
Top Urdushayar.com