Abbas Tabish

faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta

Abbas Tabish

1961
faqat māl-o-zar-e-dīvār-o-dar achchhā nahīñ lagtā
jahāñ bachche nahīñ hote vo ghar achchhā nahīñ lagtā
mire dukh tak mire ḳhuuñ aur pasīne kī kamā.ī haiñ
tumheñ kyuuñ merī mehnat kā samar achchhā nahīñ lagtā
shikasta satr chāhe rañg-o-bū-e-pairahan Thahre
kisī sūrat mujhe ijz-e-hunar achchhā nahīñ lagtā
mayassar ho na jab tak bū-e-tāza-tar kī hamrāhī
havā kī tarah galiyoñ se guzar achchhā nahīñ lagtā
rah-e-tesha-talab terī maiñ vo dīvār huuñ jis ko
na ho shorīdgī jis meñ vo sar achchhā nahīñ lagtā
galī meñ khelte bachchoñ ke hāthoñ kā maiñ patthar huuñ
mujhe is sahn kā ḳhālī shajar achchhā nahīñ lagtā
chamaktā huuñ har ik mahtāb-rū ke rū-e-raushan meñ
maiñ sūraj huuñ mujhe shab kā safar achchhā nahīñ lagtā
jise dekheñ vahī phir dekhne kī aarzū Thahre
jise chāheñ vahī bār-e-digar achchhā nahīñ lagtā
isī ḳhātir use 'tābish' uchaknā chāhtā huuñ maiñ
mujhe tālāb kī tah meñ qamar achchhā nahīñ lagtā
Top Urdushayar.com