Abbas Tabish

us ka KHayal KHwab ke dar se nikal gaya

Abbas Tabish

1961
us kā ḳhayāl ḳhvāb ke dar se nikal gayā
phir maiñ bhī apne dīda-e-tar se nikal gayā
palkeñ bhī bah ga.iiñ ḳhas-o-ḳhāshāk kī tarah
maiñ apne sāhiloñ ke asar se nikal gayā
tanhā.ī se thī merī mulāqāt āḳhirī
royā aur is ke ba.ad maiñ ghar se nikal gayā
jab sham-e-intizār uThā lī muñDer se
dast-e-havā bhī halqa-e-dar se nikal gayā
raste meñ aañkh thī sag-e-māmūr kī tarah
dil meñ jo chor thā vo kidhar se nikal gayā
ab le le mujh ko apnī hathelī kī oT meñ
merā sitāra burj-e-safar se nikal gayā
mere hī saath ghar meñ nazar-band thā to phir
terā ḳhayāl kaun se dar se nikal gayā
Top Urdushayar.com