saañs ke shor ko jhankār na samjhā jaa.e
ham ko andar se giraftār na samjhā jaa.e
us ko raste se haTāne kā ye matlab to nahīñ
kisī dīvār ko dīvār na samjhā jaa.e
maiñ kisī aur havāle se use dekhtā huuñ
mujh ko duniyā kā taraf-dār na samjhā jaa.e
ye zamīñ to hai kisī kāġhzī kashtī jaisī
baiTh jaatā huuñ agar baar na samjhā jaa.e
us ko aadat hai ghane peḌ meñ so jaane kī
chāñd ko dīda-e-bedār na samjhā jaa.e
apnī bātoñ pe vo qaa.em nahīñ rahtā 'tābish'
us ke inkār ko inkār na samjhā jaa.e