Abbas Tabish

ishq ki jot jagane mein baDi der lagi

Abbas Tabish

1961
ishq kī jot jagāne meñ baḌī der lagī
saa.e se dhuup banāne meñ baḌī der lagī
maiñ huuñ is shahr meñ tāḳhīr se aayā huā shaḳhs
mujh ko ik aur zamāne meñ baḌī der lagī
ye jo mujh par kisī apne kā gumāñ hotā hai
mujh ko aisā nazar aane meñ baḌī der lagī
ik sadā aa.ī jharoke se ki tum kaise ho
phir mujhe lauT ke jaane meñ baḌī der lagī
boltā huuñ to mire hoñT jhulas jaate haiñ
us ko ye baat batāne meñ baḌī der lagī
mere arse meñ koī sahl na thā kār-e-suḳhan
ek do sher kamāne meñ baḌī der lagī
maiñ sar-e-ḳhāk koī peḌ nahīñ thā 'tābish'
is liye paañv jamāne meñ baḌī der lagī
Top Urdushayar.com