Abbas Tabish

wo chand ho ki chand sa chehra koi to ho

Abbas Tabish

1961
vo chāñd ho ki chāñd sā chehra koī to ho
in khiḌkiyoñ ke paar tamāshā koī to ho
logo isī galī meñ mirī umr kaT ga.ī
mujh ko galī meñ jānñe vaalā koī to ho
mujh ko to apnī zaat kā isbāt chāhiye
hotā hai aur mere alāva koī to ho
jis samt jā.iye vahī dariyā hai sāmne
is shahr se farār kā rasta koī to ho
apne sivā bhī maiñ koī āvāz sun sakūñ
vo barg-e-ḳhushk ho ki parinda koī to ho
yuuñ hī ḳhayāl aatā hai bāñhoñ ko dekh kar
in Tahniyoñ pe jhūlne vaalā koī to ho
ham is udheḌ-bun meñ mohabbat na kar sake
aisā koī nahīñ magar aisā koī to ho
mushkil nahīñ hai ishq kā maidān mārnā
lekin hamārī tarah nihattā koī to ho
Top Urdushayar.com